Get Credit Card with 100% Approval

Tips to Get Credit Card with 100% approval rate -:

Doston aaj ke is blog mein baat karne wala hun ki aap kaise apna credit card 100% kisi bhi bank se le sakte hain to doston iske liye aapko sabse pahle Apne cibil per Dhyan Dena hoga kyunki koi bhi Bank ho cibil  jarur check karti hai to aapka apna CIBIL maintain karke rakhna hai aur credit card ke liye apply karne se pahle apna CIBIL jarur check karna hai usko analysis karna hai ki aapko bank credit card degi ya nahin aur ek bar credit card banne ke bad uski limit bhi acchi Kasi mil jayegi agar cibil achcha h To

Yadi cibil achcha nahin hai To limit bhi theek thak nahin milegi aur Fir Bank ke pass hi iska control rahega ki vah apki limit kab badhaen kab nahin badhai .

Steps:

  1.  check kare ki aapki cibil Mein kahin jyada enquiry To nahin hai last 3 se 6 mahine ke andar yadi aapke cibil me jyada enquiry he to maximum chances hai ki aapka credit card reject ho jaye. iske liye aapko kuchh mahine wait  karna hai aur enquiries ko minimize krna h.
  2. Dusri baat aapko Dhyan rakhni hai ki aapki cibil Mein koi bhi Loan yah credit card me amount overdue na ho.         yadi aapke cibil me amount overdue hai to aapko wait karna hoga kuch mahine ka jisse aapke  cibil mein jo overdue amount hai vah jald se jald clear Ho jaaye yadi aapane payment nahin kiya hai to uska payment jald se jald Karen.

3. Apni credit card ka utilisation 30 % per laye yadi aapki credit card ka utilisation  cibil Mein 30 percent se jyada show ho raha hai to aap ke credit card ki rejection Ke Chance maximum Ho jaate Hain

4. Yadi aapane ek secured credit card liya hai to wait Karen kam se kam 6 mahine ka jisse aapki credit card ki ek acchi history bade ho jaaye uske bad hi apply Karen Apne unsecured credit card ke liye to aapke unsecured credit card ke approval ke chances bahut badh jaate Hain

 

Video link – https://youtu.be/SJTTJq6GEGc

 

Why your credit card is declined check here https://youtube.com/shorts/4rX5ZdoU9X0?feature=share

 

Other blogs

Get Free HDFC CIBIL Score

How to apply Flipkart Axis Bank credit card

 

 

Leave a Comment

जीरो बैलेंस अकाउंट पर क्रेडिट कार्ड 75000 लिमिट बिना इनकम प्रूफ क्रेडिट कार्ड लेने का तरीका